***
Main roya pardes mein, bheegaa maan kaa pyaar
dukh ne dukh se baat ki, bin chithhi bin taar
Chhotaa kar ke dekhiye jeevan kaa vistaar
aankhon bhar aakaash hai, baahon bhar sansaar
Leke tan ke naap ko, ghoomay basti gaanv
har chaadar ke gher se, baahar nikalay paanv
Sab ki poojaa ek si, alag alag hai reet
masjid jaaye maulavi, koyal gaaye geet
Pooja ghar mein murati Meera ke sang Shyam,
jiski jitni chaakari utne uske daam
Nadiyaa seenchay khet ko, tota kutaray aam
sooraj thekedaar saa, sab ko baantay kaam
Saaton din bhagawaan ke, kyaa mangal kyaa peer
jis din soye der tak, bhookhaa rahay fakir
Achhi sangat baithkar, sangi badalay roop
jaisay milkar aam se meethii ho gayi dhoop
Sapnaa jharnaa neend kaa, jaagii aankhen pyaas
paanaa, khonaa, khojanaa saanson kaa itihaas
Chaahay Geetaa baanchiye, yaa padhiye Quraan
mera tera pyaar hi har pustak kaa gyaan
***
मैं रोया परदेस में, भीगा माँ का प्यार
दुःख ने दुःख से बात कि, बिन चीठी बिन तार
छोटा कर के देखिए जीवन का विस्तार
आंखों भर आकाश है, बाहों भर संसार
लेके तन के नाप को, घूमे बस्ती गाँव
हर चादर के घेर से, बाहर निकले पाँव
सब कि पूजा एक सी, अलग अलग है रीत
मस्जिद जाये मौलवी, कोयल गाए गीत
पूजा घर में मुर्ति मीरा के संग शाम,
जिसकी जितनी चाकरी उतने उसके दाम
नदिया सींचे खेत को, तोता कुतरे आम
सूरज ठेकेदार सा, सब को बांटे काम
सातों दिन भगवान के, क्या मंगल क्या पीर
जिस दिन सोये देर तक, भूखा रहे फकीर
अच्छी संगत बैठकर, संगी बदले रुप
जैसे मिलकर आम से मीठी हो गयी धुप
सपना झरना नींद का, जागी आँखें प्यास
पाना, खोना, खोजना साँसों का इतिहास
चाहे गीता बांचिये, या पढिये कुरान
मेरा तेरा प्यार ही हर पुस्तक का ग्यान
***
-----------------------------------------------------------------
DELHI INDIAN
Wow! I closed my eyes and pictured Arvind Khejriwal singing it in New Delhi after the local elections.
-----------------------------------------------------------------
Sunny Leone a true Canadian DESI now back in India !.
Quote:
Originally posted by Vandematram
Wow! I closed my eyes and pictured Arvind Khejriwal singing it in New Delhi after the local elections.
Advertise Contact Us Privacy Policy and Terms of Usage FAQ Canadian Desi © 2001 Marg eSolutions Site designed, developed and maintained by Marg eSolutions Inc. |